Paytm Bank

Ha aapne bilkul sahi padha. Aapka jo Paytm wallet hai vo ab Paytm Bank banne jaa raha hai.

Aapka Paytm wallet jaisa kaam karta tha waise he kaam karta rahega infact vo or jada Powerful ho jaaega.






RBI ke guidelines ke hisaab se aapka Paytm wallet jaldi he nayi incorporated Paytm Payment Bank me transfer ho jaaega. Ye sara process automatically ho jaae so kisi bhi Paytm users ko kuch karne ka jarurt nahi parega. User Experience or Wallet Balance same rahega jaisa abhi hai even 15th January ke baad bhi.

Itna he nahi Paytm Payment Jaldi he aapke Paytm me add ho jaaega or iska aap alag-alag tarike se faaede utha paaenge jaise ki aapko A/C number, Checkbook or Dabit Card. Main baat to ye hai ki aapke apne paiso par interest bhi milega. 

Ab share ki baat karu to Paytm Payment Bank Ltd. (PPBL) ka 51% share khud Paytm ke owner Vijay Sekhar ke paas rahega or 49% share One97 Communication Ltd. ke paas. Ye ek puri Indian company hai or iss operate bhi Indians ke through he kiya jaaega.

To aapka agar abhi tak rumor clear nhi hua to mai clear kar deta hu ki Paytm jaisa tha waisa he rahega abhi bhi or 15 January ke baad bhi so aapne jo rumor sun rakha ki 15 January ke baad Paytm wallet kaam karna band kar dega to us rumor ko bhul jaaiye.



  
Paytm Bank Paytm Bank Reviewed by Amit Kumar on 1/11/2017 10:05:00 pm Rating: 5

No comments:

Powered by Blogger.