Paytm ke upar Fraud ka ye pehla case hai jo ki chandigarh ki rahne wali Gagandeep Kaur ne case darz karaya hai. Vo kehti hai hai ki ek phone aaya or bank khali ho gaya.
Source se pata chala hai ki vo Fraud karne wala khud ka naam Rahul bataya tha or Gagandeep se Paytm ki saari information maanga tha. Gagandeep Kaur jo ki National Institute of open Schooling (NIOS) ki employee hai unke account me sirf 18000rs he thee or phone aane ke kuch minute baad he saare paise gayab ho gaye or jab unhone bank me inquiry kiya to pata chala ki unke sath dhoka hua hai.
Inspector Harinder Singh Sekhon jo ki Syber Cell ke incharge hai unhone kaha ki Chandigarh me pehli baar aisa case saamne aaya hai.
Dosto iss news ko btaane ka ek he maksad tha mera ki aap bhi aise fraud ke chakkar me naa pare or surachhit rahe or apne aas paas waalo ko bhi surachhit rakhe.
Dosto iss post ko jarur se jrur share kare taki sabhi log iss ke baare me jaan paae or satrak reh paaye.
Paytm Fraud of Rs.18000
Reviewed by Amit Kumar
on
1/06/2017 06:52:00 pm
Rating:
No comments: