Redmi Note 4 Phone - Top Reasons to Buy & Note to Buy



To finally Xiaomi ne apna Redmi Note 4 launch kar he diya. Ye Phone aapko 3 options deta hai.
1. 2GB RAM/32GB ROM            Rs.9999/-
2. 3GB RAM/32GB ROM            Rs.10999/-
3. 4GB RAM/64GB ROM            Rs.12999/-

click here to buy this phone on Flipkart









Redmi Note 4 pichle saal hue launch Redmi Note 3 ka successor hai to jo log Redmi Note 3 use kar chuke hai vo khud soch sakte hai ki kya unko Note 4 lena chaiye ya nahi. Lekin agar aapne abhi tak nahi liya or lene ko soch rahe hai to bahut achhe jgah par aae hai. Ynha mai aapko btaaunga ki aapko Q ye phone lena chaiye or Q nahi.

Top Reasons to Buy

Design

Xiaomi ki design ki baat kare to vo hamesa xiaomi ka plus point raha hai. Ab baat karte hai ki uski design top reasons to buy me Q aaya to aapko baata du ki iss phone me aapko Solid and elegant look diya gaya hai. Or iske display ka jo glass panel hai vo isko kafi jada premium bana deta hai or last but not the least is that Xiaomi jo iss price me iitni behatrin design wala phone deta hai vo or koi nahi deta.

Display

Display kisi bhi phone ka ek important functionality raha hai. Iss phone me aapko 5.5 inch ki LCD display mil jaaega jiska resolution 1920 X 1080 hai. Ek khas baat bta du ki iske display ke top me 2.5D ka curve glass laga hua hai jo iske screen ko pehle se or jada smooth bana deta hai. 

Performance

Bahut saari company aise hai jo apne mobile ke real life performance par dheyan nahi deti but iss case me Xiaomi aage nikal chuka hai Q ki Xiaomi apne processor par bahut kaam karta hai. Xiaomi ek achhe price range ke phone me kaafi achha processor laane ka kosis karta hai jaise ki snapdragon 653 or MIUI software jo ki kaafi achha outcomes deta hai. 

Battery Life

Aap apne phone me ek achha design, achha display or ek achha processor chahte hai. To or kya expect kar sakte hai aap? to aapka answer hoga ki "ek achhi battery". Agar aapke phone me saare specification achhe hai but battery backup achha nhi hai fir saare achhe specification hone ka kuch faaeda nahi hai. Aapko Redmi Note 4 me sirf achhi display, achhi design or ek achha processor he nahi milega uske sath-sath aapko ek achhi 4000mAh ki battery bhi milegi jo kafi der tak aapka sath nibha sake.









Top Reasons Not to Buy

No 4K Video or OIS


Lagbhag iss Price range me aapko bahut se phone mil jaaenge jo 4K video recording ko support karta hai but isme vo features nahi di gayi hai or sath-sath me ek or important features OIS (Optical Image Stabilization) bhi nhi diya gaya hai jo ki video record karte time blur or shaky recording ko reduce karta hai.

No Fast Charging

Redmi Note 4 ne 4000mAh ki battery to de diya but fast charging ka support nahi diya. To aapko agar 4000mAh ka battery charge karna hai to kam se kam aapko 2 ghante 30 minutes se 3 ghante ka time lg jaega.

No USB Type-C

Xiaomi mid range phone ke andar bakio se sabkuch achha daal raha hai but jo port ka future hai USB Type-C usse nahi laa raha jab ki uske competition me kai phone me USB Type-C port aa chuka hai.


           
Redmi Note 4 Phone - Top Reasons to Buy & Note to Buy Redmi Note 4 Phone - Top Reasons to Buy & Note to Buy Reviewed by Amit Kumar on 1/19/2017 11:49:00 pm Rating: 5

No comments:

Powered by Blogger.