Amzon naam se hee bada hai or aise website ke naam par logo ko lootna bhi aasan hota hai waise hee ye website bhi aapko lootne ka pura intezam kar chuka hai.
Ye website puri trah se scam hai ye baat to aapko pta chal hee gaya hoga lekin ye scam kyon hai chliye jante hai.
SCAM REPORT
1. Amazon India hamesa .in use karta hai kyonki Amazon pure world me hai or vo har country ke liye ussika symbolic domain use karta hai jabki iss me .com use hua hai.
2. Amazon ek brand hai jiska naam kafi hota hai trust ke liye. Amazon ka koi b offer nikle vo amazon ke website par nikalta hai or agar koi bumper offer bhi rahe fir bhi ussi ke website se aap vo saaman le sakte hai or vo bumper offer bhi kisi selective insaan ko hee milta hai har kisi ko nahi. Jabki ye website har kisi ko ye offer de raha hai.
3. Sabse important baat ye hai ki Amazon ka koi bhi link http://www.amazon.com/..../..../.... hota hai matalb uss link ke starting mein hee www.amazon.com ya in ya jo bhi ho hota hai lekin iss me bas Amazon ka naam use kiya gaya hai.
Ab jo main bataunga vo padhne se pehle apne dusre tab me ye fake wala website open kar le.
* Ye website puri trah se Amazon ki trah bnaya hua hai lekin aap isse dhoka mat khaae Q ki iska look bas ek photo hai. Agar aapko yakin nhi ho raha to kisi bhi ek product ko open kar le. Maine iPhone 7 Plus open kiya. Open hone ke baad upar star rating diya hua hai jise touch karne se koi user review nahi khul raha
* Iske niche bas product ka description diya hua hai or buy now ka option diya hua hai. Chaliye ab buy now par click kijiye.
* Buy now par click karte he ye aapko checkout ke page par le aata hai. Jispe ek buy now ka Photo lagaya hua hai jise click karne se ye whatsapp group mein share karne bolta hai taki ye bahut logo ke paas pahuche or sabhi log order de paae.
Dosto ye website puri trah se Scam hai to please iss website se dur rahe or isse apne facebook par bhi jarur share kare taki aapke sage sambandhi isse bach paae.
Isme likha hua hai Cash on Devilry kya aapko pata hai sunte hee bahut se aise log hai jo iss product ko lene ko ready ho jaaenge ki haat mein aane ke baad hee to paisa dena hai to kya risk hai. To dosto main aapko bata du ki aap paisa dene se pehle kisi bhi product ko khol ke nahi dekh sakte or agar paisa dene k baad aapke product nakli ya usme kuch fault nikle to bhi aap uss Currier boy ko vo product wapas nhi de sakte. Uske liye aapko website par jaa ke return or exchange ka request karna parta hai jo ki iss website me knhi bhi nhi hai.
Jitna dur ho sake khud ko aise website se hamesa dur rakhiyega or apne jaane walo ko bhi isse dur rakhiyega.
amazon-great-indian-sale.com is Scam or Real?
Reviewed by Amit Kumar
on
5/13/2017 05:14:00 pm
Rating:
No comments: