Narula Institute of Technology Review, Placement, Salary, Facilities


Here you  read abpout Narula Institute of Technology Review, Narula Institute of Technology Placement, Narula Institute of Technology Courses, Narula Institute of Technology Ranking and all important things.

Engineering College





Narula Institute of Technology ek Private college hai jo ki Agarpara, Kolkata me stith hai.

Ye college Maulana Abul Kalam Azad University of Technology (MAKAUT) jo ki pehle West Bengal University of Technology (WBUT) ke naam se jaana tha OR AICTE se affiliated hai.

Or NAAC & NBA ke dwaara accredited hai.

Ranking ki baat kare to Narula Institute of Technology pure India me top 150 colleges me rank karta hai or West Bengal ke top 10 Private Engineering Colleges me rank karta hai.

 

Top 10 Private Engineering Colleges in West Bengal

 1.  IEM, Kolkata
2.   Heritage Institute of Technology, Kolkata
3.   Narula Institute of Technology, Kolkata
4.   RCC Institute of Technology, Kolkata
5.   Haldia Institute of Technology, Haldia
6.   Academy of Technology, Hooghly
7.   Techno India University, Kolkata
8.   Netaji Subhas Engineering College, Kolkata
9.   B.P.Poddar Institute of Management and Technology, Kolkata
10. FIFM, Kolkata


JIS Group jo ki ek Sikh Minority Group hai uske under 7 colleges aate hai or Narula Institute of Technology unhi 7 colleges me se 1 hai.

Colleges Under JIS Group


  • 1    JIS College of Engineering
  • 2.   Narula Institute of Technology
  • 3.   Guru Nanak Institute of Technology
  • 4.   Dr Sudhir Chandra Sur Degree Engineering College
  • 5.   Asansol Engineering College
  • 6.   Abacus Institute of Engineering and Management
  • 7.   Greater Kolkata College of Engineering and Management


2015 mein ye college semi-autonomous bn gaya tha.

Courses offer by Narula Institute of Technology




·       B.Tech
·       M.Tech
·       BBA
·       MBA
·       Diploma
·       BCA
·       MCA


Type
Engineering College
Established
2001
Principal
Dr. Maitreyi Ray (Kanjilal)
Dean
Prof. P.C.Dhar
Director
Sardar Jodh Singh
Students
3000 (approx.)
Administrative Staff
110 (approx.)
Location
Agarpara, Kolkata (West Bengal)
Website

 How are the Placements of Narula Institute of Technology?


Agar aap Narula Institute of Technology join karna chahte ho ya join kar chuke ho to ye question aapke dimag mein jarur aaya hoga.

Answer dene se pehle main aapko bata du ki main bhi Narula Institute of Technology ka ek ex-student hu.

Jo maine experience kiya uss hisab se Narula Institute of Technology ka Placement naa achha hai or naa he bura.

Last Semester start hote hee Placement ke liye companies aane start ho gaye the

Lekin jinka ek bhi active backlog tha unko Maximum placement mein baithne ka chance nahi mila or mere hisaab se isme koi galat baat nahi hai.

Lagbhag saare chize sahi tha lekin kuch chize tha jispar sayad JIS Group or Narula Institute of Technology ko dheyaan dena chahiye.

1.   Companies mail me sahi information nahi dete the, dete bhi the to aise ki aap samajh nhi paoge ki actual me karna kya hai. Ye main isliye bol raha hu kyonki ek baar humlog interview dene gaye or wnha jaakar interview ke time unse puchhne par pata chala ki vo Door-to-Door selling wala job hai.

2.   Lagbhag 90% companies salary bahut low de rahi thi.

3.   Ek sath 500+ students ko bula liya jata tha different-different colleges se. Mujhe pata hai ki isme buraai nahi hai lekin mere nazar me ye galat hai. Aap iss chiz ko galat maante hai ki sahi ye comment me jarur btaiyega.


How Good is the Narula Institute of Technology?





Kisi bhi chiz ke bare mein bolne ke liye hame pehle uske different parameters ko janna hoga uske baad hee hum use judge kar sakte hai.

Fee Structure: Narula Institute of Technology ka fee structure na jaada hai or naa he low. Matlab fee structure ke mamle me main Narula Institute of Technology ko 5 out of 5 deta hu.

Faculties: Kuch faculties achhe hai to kuch nahi. Or faculties ko use karna students ko sikhna chahiye kyonki vo human being hai or human being ko kaise apne faede ke liye use karna hai ye saare students ko aana chahiye. So isme mai deta hu 4 out of 5.

Infrastructure: Infrastructure ke maamle mein Narula Institute of Technology bahut achha hai. Isme aapko koi sikayat nahi milega. So isko mai 5 out of  deta hu.

Other Activity: Narula Institute of Technology mein aaye din kuch naa kuch activity hote hee rehta hai to iss mamle me bhi iss college ko 4 out of 5 milna chahiye. Kyonki agar aap iss college ke active student ho to bahut saare event aapka welcome karenge.

Is Narula Institute of Technology an Autonomous?


Yes,
Narula Institute of Technology autonomous hai JIS University ke under.

Does Narula Institute of Technology provide Bus?


Narula Institute of Technology sirf Diploma students ko bus provide karta hai kyonki diploma class raat ke 8 PM tak chalti hai.

Bus


Friends ye college depend nahi karta, aapki knowledge, ability or apka passion depend karta hai ki aapka future kaisa hoga. Agar aap seriousle mein padhai karna chahte ho to Narula Institute of Technology mein koi buraai nahi hai.

Or rahi baat placement ki to agar aapne sahi se padhai kiya hai to bahar hazaro achhi high salary wali job aapka intezar kar rahi hai.

Aapko bas apne andar ki awaaz ko pehchanna hai.

Maine apni andar ki awaaz suni or aaj main blogging kar raha hu or kaafi achha bhi kar raha hu.

Iske alava bhi mere kai or alag alag se websites hai.

Lekin ye sab mujhe college ne nahi sikhaya, college ne mujhe bas guide kiya baaki future aapko khud bnani hogi.

Kai log hote hai jo placement dekh kar college join karte hai, or isme koi buraai nahi even ye ek achhi baat hai lekin agar aapne pdhai ki ho sahi dhang se placement koi matter nahi rakhta.

Mera ek friend tha, bahut bda padhaku tha usne kya kiya tha ye sun kar sayad aapko yakin na ho.

Usne placement cell ko khud mana kiya ki use placement wali mail bhejna band kar di jaae, usko disturb hota hai.

To aap isse samajh he gaye honge ki placement bilkul matter nahi karta.

Matter karta hai to sirf aapka knowledge.

Ek or bahut important chiz hai jiske bina aapko job milna bahut hee jaada muskil hai.

Vo hai English Communication.

Ji ha, agar aap English me ache nhi ho to aapko sikhna start5 kar dena chaiye.

Kyonki agar English achhi ho to job milna asaan ho jata hai.

Maine khud delkha hai kuch logo ka technical skill 0 tha but English communication skill next level ki thi, unko asaani se job mil gaya.

So sirf skill he nahi skill ke sath sath English communication skill par bhi dheyan dena hoga aapko.




Narula Institute of Technology Review, Placement, Salary, Facilities Narula Institute of Technology Review, Placement, Salary, Facilities Reviewed by Amit Kumar on 8/01/2018 08:00:00 pm Rating: 5

2 comments:

  1. This comment has been removed by a blog administrator.

    ReplyDelete
  2. Bilkul bekar college hai. Koi vi jis group join mat karna

    ReplyDelete

Powered by Blogger.