Data Entry Job Scam

Data entry job scam hai ya real, kya data entry job se sahi me paise milte hai, kya isko karne se life sudhar sakta hai ya fir ye sirf time pass hai? aise aise questions aate rehte hai jinka sahi answer koi dena nahi chahta but iss article ko padhne ke baad aapko aapka sahi answer mil jaaega. 







Kya Data Entry job real job hai?

Ha bilkul. Data entry job ek real job hai jisko aap various platform ke jariye kar sakte hai jaise ki Fiverr.com, Upwork.com, freelancer.com or, or bhi kai saare hai jnha se aap legit tarike se kaam kar ke bahut saare paise kama sakte hai.

Kya data entry job ek scam hai?

Iska answer 'Haa' bhi hai or 'Na' bhi. Jaisa ki maine upar bataya ki un sab sources ke sahare aap real paise kama sakte hai par sath me or bhi bahut saare tarike hai jisse aapko bach kar rehna chahiye.





Ek past experience share karunga aapse jisko padhkar aap samjh jaenge.

Tab mai 11th class me tha or kaam ka bhuka tha, paise kmaane the mujhe or ghar baithe baithe kaam karna tha to ye data entry job mujhe sahi laga or news paper me har din 5 ya 6 job data entry se related rehte he hai.

To maine phone kiya unko or milne chala gaya or wnha unhone mere se 300 rupees liye or mujhe ek purani novel de diya gaya or bola gaya ki 7 days ke under isko book ko type karna hai jsike liye aapko 1200 rupees diye jaaenge. Or sath me ye bhi bola gaya ki 20 words se jaada ka mistake hua to koi paisa nahi milega.

fir jab maine unse pucha ki isko likhne se company ka kya faeda hoga to usne mujhe ye bataya ki jo software install karte time jo agreement aata hai jisko humlog bina padhe agree kar dete hai vo yehi sab hota hai. Vo to mujhe 1 saal baad samjh me aaya ki vo bas ek faltu sa flop novel tha jo market me bik nahi paya tha or mujhe mehnge daam me bech diya gaya vo.

Fir kya tha mai lekar aa gaya ghar or baith kar likhna start kar diya or 2 din me he 12 pages likh bhi dala or paisa ki pyaas ne mujhse 7 din me book complete bhi kara diya.

Uske baad vo maine uss data entry wale ko dikhaya to usne bola ki ye ab check hone ke liye jaaega or 3 din baad pata chal jaega ki aapko paisa milega ki nahi.

3 din bitne ke baad bhi koi call nahi aaya to mai wapas chala gaya unke paas tab usne bola ki aapke kaam me 100+ error tha jis karan se aapko iske paise nahi milenge.

Aap believe nahi karoge kaisa feel hua tha mujhe.

Kya saare data entry job scam hote hai?





Bilkul nahi bahut saare aise kaam hai jaise ki filhal me Aadhar card ki details register karne ke liye kai saare logo ko data entry job mili jo apne ghar baithe usko kar sakte the.

Dekhiye iss field me kai saare aise job hai jo aapse fraud kar ke aapse paise uda le jaenge but kuch aise bhi hai jo aapko real income denge to ye aapka kaam hai ki koi bhi kaam pakarne se pehle aapko usko parakhna hoga.
Data Entry Job Scam Data Entry Job Scam Reviewed by Amit Kumar on 11/11/2018 12:59:00 pm Rating: 5

No comments:

Powered by Blogger.