Sonpur Mela 2021 | Asia's Biggest Animal Fair | India

Sonpur Cattle Fair (Sonpur Pashu Mela) pure Asia me sabse bada Pashu Mela ke naam se jaane jana wala ye Mela November ke Kartik Poornima se suru hota hai or 1 mahine tak chalta hai.




Iss mele ko or bhi kai naamo se jaana jaata hai. Jaise ki-
          -Pashu Mela
          -Sonpur Mela
          -Cattle Fair
          -Animal Fair
          -HariKshetra Mela
Or bhi kai saare naam hai lekin sabse jaada isse Sonpur Mela ke naam se jaana jata hai.

Ye mela sirf local logo ko hee aakarsit nahi karti, iss mele par puri duniya ka nazar rehta hai. Desh Videsh se log Bihar ki iss pavan bhumi par iske kaaran ghiche chale aate hai.

Sonpur Mela

Jab aap iss mele mein aaoge tab aapko asthaniye logo ke sath duniya bhar ke log dikh jaaenge. Aapko aisa lagega ki pura world yanhi hai, ek jagh par.

Kab se Manaya ja raha hai ye Sonpur ka Pashu Mela

Ye mela puraane time se chalti aa rahi hai, jab Chandragupta Maurya (340 – 297 BCE) Elephants or Horses kharidne ganga river paar kar ke aate the.

Aakhir kya kya hota hai Sonpur ke iss Pashu Mele me

Ye mela ke naam se aap soch rahe honge ki isme sirf animal he bikte honge or jinko animal dekhna hota hoga ya khridna hota hoga sirf wahi aate honge. Agar aap sahi me aisa soch rahe hai to aap galat ho.

Iss mele me vo har chize aapko mil jaengi jo aapko chahiye. Duniya ke har kone se ynha log apna dukan lagane aate hai isliye vo saari chize ynha uplabh hota hai jo dusri jgh milta hai.

Chliye mai aapko kuch dukan or kuch behatrin chizo ke bare me batata hu.

Elephants or Horses ynha ke mukhye aakarsan hai jo aapko sayad kanhi or naa dikhne mile.

Sonpur Mela



Ynha inki sankhya kai hazaaro mein hoti hai. Or sayad aapko yekin naa ho lekin mela end hote hote 80% animals bik bhi jaate hai.
  
In sabhi animals ko line me iss prakar bandha rehta hai jisse ye kisi par hamla bhi naa kar paae or khul kar reh bhi pae or mele dekhne aae log inko asaani se paas jaa kar dekh bhi paae.

In Ghoro ko bechne ke liye alag-alag type ke chize bhi kiye jaate hai hai or in sab me sabse prachalit hai Horse Race.




Sonpur Mela

Ynha kuch chuninda horses ka race bhi hota hai isko dekh kar un horses kaa daam taye kiya jaata hai.

In horse races ke kaaran wnha hmesa bhid umri rehti hai, par safety ka pura dheyan rakha jata hai jisse ki koi bhi haadsa naa ho. Or log aasaani se dekh paae.

Agar aap udhar jaa rahe ho to mai aapko suggest akrunga ki aap apne muh or naak ko kisi kapre sa dhak le kyonki wnha dhul bahut jaada urti hai.

Ab chaliye baat karte hai kuch or dukano ki jinke karan ye mela puri trah se safal ho pata hai or log aanadit ho paate hai.

Agar aapko ye puchna hai ki ye mela kin logo ke liye hai to mera answer hai ki ye mela hare k age group walo ke liye hai.

Agar kisi ko apne garden ke liye kuch plants lene hai to bhi vo iss mele me jaa sakta hai.

Sonpur Mela

Ynha Nursery ki bhi kai saari dukane lagi hoti hai jisme aapko har prakar ke plants mil jaenge.

Sonpur Mela

Chhota plants hoy a fir koi bada hone wala plants saare plants iss dukans me aapko mil jaaenge or aapko usko khrid kar assani le ja sakte hai.

Chaliye ab dekh lete hai ki isme aap enjoy kaise karenge, kyonki mele ka main maksad hota hai ki log usme jaa kar maja kare, jindagi ka aanad utha sake.

To mai aapko bata du ki yanha kai trah se ke Jhule mil jaaenge jis par baith kar aap enjoy kar sakte hai.

Sonpur Mela

In jhulo par bhi safety ka pura kheyaal rakha jaata hai taki koi haadsa naa ho or log bina kisi dar ke isme baith sake.

Sonpur Mela

In jhulo ki uchhai se hee aap pata laga sakte hai ki ye mela kita bada hota hoga or kitne din pehle se in sabko banana bhi start kar diya jaata hoga.

Sonpur Mela

Mela chahe kaisa bhi ho, mela lagne se naukriya paida hoti hai, logo ko kaam milta hai, nai nai dukane banti hai. Ha vo baat alag hai ki mele ki avadhi kam hoti hai lekin in mele me log itna to kama he lete hai jitney vo dukan se vo pure saal me kamaate honge. To dekha jaae to ye mela har kisi ke life mein khusiya bhar deta hai.




Agar kisi ko apne naye ghar ke liye furniture lena hai ya shadio me gift karne ke liye koi wooden saaman lena hai to vo bhi ynha aa sakte hai.

Sonpur Mela

Ynha aapko lakri ki bani hui saari saaman bhi mil jayengi. Palang, table, chair or bhi kai saare saaman kam laagat me.

Sonpur Mela

Ynha chizo ki bikri itni jaaa hoti hai ki saaman agar kam laagat me bhi becha jaae to bahut jaada profit ho jaata hai.

Har mele me ek khas type ki mithai aati hai jo fir mele ke baad bahut kam jagh he mil pata hai.

Sonpur Mela

Iss Meva Mithai ke kai naam hai or ye mithai iss mele ke alavaa bahut hee kam dikhai deta hai. To agar aap iss mele me gaye or ye mithai aapne nahi khaya to sayad aapko dobara ja kar mela khtam hone se pehle ek baar jarur kha lena chahiye.

Dikhava insano ka junun hai or jab baat aati hai apni takat dikhane ka to insaan kai tariko isko dikhane ka kosi karta hai or ye mele me aapko kai trh ke hathiyaar nhi mil jaenge.

Sonpur Mela

Ynha aapko Talwar(Sword) , Bhala, Chaku sahi or kai trah ke hatiyaar mil jaaenge jisko aap khrid kar apne ghar le ja sakte hai.

Sonpur Mela

Log isko jaach prakh kar kharidte hai. Ha jaancha sirf inke look par jata hai ki ye kaisa dikh raha hai, kisi par istemal kar ke nahi.

Or log isko bindaas apne sath carry kar ke ghum sakte hai pure mele me, kanhi bhi inhe roka nahi jata.

Sonpur Mela

Ab aap soch rahe honge ki ye to khtra ban sakta hai kabhi bhi.

To haa aapka schna sahi hai lekin iss khtre ko dekhte hue hee jo hathiyaar ynhe becha jaata hai unki dhar nahi banaai hoti hai. Means vo talwaar sirf ek lohe ka stick samjh sakte hai aap jisko baad me knhi or se aapko dhar karwani pregi.

Or vo talwar aap mayaan se nikal kar nahi ghum sakte. Jisse ki logo ke dilo mein bhay paida ho.

Sarkar bhi is mele me apna ahem bhumika nibhata hai. Vo alag alag jagh apna pandal gira kar logo ke bich awareness paida karate hai. Jisse logo ko khatro se or kai or bimario ke bare me time rehte pata chal sake.

Sonpur Mela

In melo me krishi bibhag par bhi jor diya jaata hai. Krishi ke kaam aane wali vo sabhi machine or vehicles bhi ynhe beche jaate hai.

Ab aapke man me ye chl raha hoga ki yaar kuch to missing hai, kuch trakta farakta dance ho jata, Maut se ladne wala koi khel ho jata kuch aisa ho jata jo man, dimag pure sarir ko hila ke rakh deta.

To boss ynha aapke liye bhi bahut saare chize hai. Maut Ka Kuna, Jaadu ka show, circus. Or ek or chiz jo sayad aapko jaada pasand aaye vo hai ynha ka Theatre.

Sonpur Mela

Theatre padh kar aap cinema hall na samjh lena. In theatre me raat ke samay dance show chalta hai. Aap saari raat baith kar dance ka maja le sakte hai.

Sonpur Mela

Ynha koi screen nahi laga hota, ynha real ladke ladkiya dance kar ke dikhate hai or inko dekhne ke liye aapko ticket lena hota hai. Ye thetre sirf raat ko he khulta hai, din ke time ye band he rehta hai.

Iss mele me har koi apne liye jagh dhund leta hai. Par ek or show hai jisko dekhne ke liye aapko paise khrch nahi karne prte lekin ye game bhi jindagi or maut ka hota hai.

Sonpur Mela

Ynha agar aap chahe to inko paisa de sakte hai ye puri trah aapke upar hota hai. Agar meri mane to kuch rupay inko de de kyonki ye bhi ek type ka game he hai jisme bahut risk hai.

Chaliye jaate jaate iss Sonpur mele me hone wali pardashni ki bhi ek photo dikha deta hu. Tski aap ye samj jaae ki mela sirf mere or aapke liye nahi hai ye hum sabke liye hai.

Sonpur Mela

Agar aap abhi bhi soch rahe ho to sochna band karo or nikal jao ghumne nahito fir aapko November ka wait karna prega.

Or aapko kuch achha laga to share jarur kar dena, yaa fir aapko kuch isme add karana hai to niche comment kar dena. Or iss mele ka aanad jarur lena.

Sonpur Mela 2021 | Asia's Biggest Animal Fair | India Sonpur Mela 2021 | Asia's Biggest Animal Fair | India Reviewed by Amit Kumar on 11/26/2018 07:06:00 pm Rating: 5

No comments:

Powered by Blogger.