Border-Border | Pakistan ki English

Pakistani:- (phone par) Haa Ammi! ynha sab khairiyat hai or wanha sab...hello....hel....he...hello.....ammi.....hello.........
Indian:- Kya hua Raffik? Muh Q latkaae rakha hai.

Pakistani:- Bhaijaan hum ammi se baat kar rahe the achanak phone cut gaya or ye message aaya hai...you have in.....in.....

Indian:- Dikhao jara (Pakistani phone dikhata hai Indian ko) aree message aaya hai ki tumhara phone me balance khtam ho gaya hai.

Pakistani:- Hindi me hai?

Indian:- English me hai, you have insufficient balance.

Pakistani:- Arre yaar ye 'In' word aa gaya na to jarur kuch bura hota hai. Pta hai jadatar negative word 'In' se hee suru hote hai.

Indian:- Baat to sahi keh rahe ho tum Raffik jaise ki Inzamam.

Pakistani:- Inzamam?? Vo knha se negative hua?

Indian:- Arre jo birodhi team ke liye khelega vo to negative he hua na. Apne saath-saath 5-5 Player ko run out karwata tha. Arre vo hmaara bowler se bhi jada wicket dilwaane wala player tha.

Pakistani:- Ha yaar! Inzamam bahut bhaari para or waise 'In' se or bhi saare bure words hai, jaise Intekaam, Inkaar, Intekaal.

Indian:- Arre ye sab urdu words hai. Chal mai tumhe aaj 'In' se suru hone waale kuch English word batata hu, thik hai. Matlab tumhe mai baad me samjha dunga. Ye sun Intolerance, Incorrect, Intruder, Indifferent, Informal.

Pakistani:- Ha or India.

Indian:- Tum log ko bas ek he word pata hai?

Pakistani:- Hahahaha! aisi baat nahi hai Pradip Bhaijaan. Hame 'In' se kuch or english word aate hai jaise 'Inglish' English.  

Indian:- Or...

Pakistani:- 'Ingine' Engine.

Indian:- Bahut achhe, or...

Pakistani:- 'In...ingineering' Engineering.

Indian:- Hahahahaha! Bhaijaan or bhi koi word hai ya mai pet bhar ke hans lu.

Pakistani:- Arree.... tum hans Q rahe ho? Achha hmaari English bahut achhi ho gyi hai to jal rahe ho.

Indian:- Saale sab galat bol raha hai. Ye saare word 'En' se suru hote hai.

Pakistani:- Nahi...nahi 'In' se suru hote hai. (Fir Pakistani Urdu English Inglish Dictionary nikalta hai) Dekho sabut hai hmaare paas.

Indian:- Hahahaha! Bhai mai smajh gaya. Teri galti nahi hai. Ye Pakistan ki Inbuild problem hai.

Pakistani:- Kya matlab?

Indian:- Matlab ye Dictionary galat hai.

Pakistani:- Aise kaise galat hai. Janaab hmaare ynha saare Schhol, Colleges me issi Dictionary se pdhaate hai, or pata hai Pakistan ke sabse jada padhe-likhe aadmi ne isse likha hai.

Indian:- Raffik bhai ek salah de?

Pakistani:- huh!

Indian:- America se hatiyaro ki jagah Dictionary maang liya karo. Q ki aksar jo problem goli se solve nahi hoti na, vo boli se ho jati hai.

Pakistani:- ..............

Indian:- Kya hua chup Q ho gay.

Pakistani:- ............

Indian:- Baat nahi karoge....kisi se bhi nahi.

Pakistani:- Nahi.

Indian:- (Apna mobile Pakistani ko dete hue) Apni ammi se bhi nahi. Ye lo apni ammi se baat kar lo.

Pakistani:- Nahi bhaijaan, agar hamne tumhara phone instemaal kiya to mulk waale hame gaddar kahenge.

Indian:- Arre nahi kahenge...lele apni ammi se baat karle. (Pakistani phone le leta hai) or sun (ek new Dictionary dete hue) ye lele.

Pakistani:- Pradip bhaijaan 'In' se ek or behad achha word suru hota hai jise hum bhul gaye.

Indian:- Konsa?

Pakistani:- Insaniyat. (Phone par) Ha ammi! Pradip bhai ke phone se baat kar rahe hai. Ha ynha sab khaeriyat hai. Or ha ammi Farruk ko kahiyega hum uske liye taufa laa rahe hai....Made In India.

Dosto Insaniyat to har kisi me hoti hai but sabhi usse dikhane me hichkte hai.Chahe koi bhi ho dost ho ya koi dusman lekin jab insaniyat dikhane ki baari aae to jarur dikhae. Aasha karta hu ki aapko ye kahaani pasand aai hogi. Please niche comment kijiye ki aapko kaisa laga or share karna mat bhuliyega or aap hmara FB page bhi like kar sakte hai. www.facebook.com/storyfvr


Border-Border | Pakistan ki English Border-Border | Pakistan ki English Reviewed by Amit Kumar on 9/24/2016 01:04:00 pm Rating: 5

3 comments:

Powered by Blogger.